Wednesday, 9 April 2014

ZINDAGI KI HAWA NA HO

Kabhi yoon mile koi maslhat
Koi khauf dil mein jara na ho
Mujhe apni koi khabar na ho
Tujhe apna koi pata na ho
Kabhi dhoop de kabhi badliyan
Dilo jaan se dono kabool hai
Magar us mahal mein na kaid kar
Jahan zindagi ki hawa na ho
Woh hajar baagon ka baag ho
Teri barkaton ki bahar ho
Jahan koi shakh hari na ho
Jahan koi phool khilta na ho…
- Basir Badr

Yaad kisi ke chandani ban kar kothe kothe utari hai – Bashir Badr

Yaad kisi ke chandani ban kar kothe kothe utari hai
yaad kisi ke dhup hui hai zina zina utari hai
raat ke rani sahan-e-chaman mein gesu khole soti hai
rat-berat udhar mat jana ik nagin bhi rahati hai
tum ko kya tum gazalen kah kar apni aag bujha loge
us ke jee se pucho jo pathar ke tarah chup rahati hai
pathar lekar galiyon galiyon ladake pucha karte hain
har basti mein mujh se aage shoharat meri pahunchati hai
muddat se ik ladaki ke rukhsar ke dhup nahi aayi
isi liye mere kamare mein itni thandak rahati hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bashir Badr

YEH TERA PAAS AANA,

Har Bejuban Gull Mein Mahkane Lage Hain Hum,
Pise Gaye Toh Aur Mahkane Lage Hain Hum,
Garibi Bura Nasha Hai Isi Ka Asar Na Ho,
Ab Baat Baat Par Jo Bahkane Lage Hain Hum,
Mitti Ki Baas Apne Sarir Ki Badan Ki Bandi Thi,
Yeh Tera Paas Aana Hai Ki Mahkane Lage Hain Hum

-bashir badr

DARD KA CHAND AANSUON KE TAARE

Jakhm Yun Muskura Kar Khilate Hain,
Jaise Woh Dil Ko Chhu Kar Gujre Hain,
Dard Ka Chand Aansuon Ke Taare,
Dil Ke Aangan Mein Aaj Utre Hain,
Rakh Ke Dher Jaise Sard Makaan,
Chand Un Badliyon Mein Rahte Hain,
Aaino Ka Koi Kasur Nahi,
Unmein Apne Hi Photo Hote Hain,
Gour Se Dekh Khak Tanha Nahi,
Sath Phoolon Ke Rang Udhte Hain,
Unse Raat Ki Khabar Suno Sahab,
Badr Ji Raat Raat Ghume Hain…
- Basir Badr