Showing posts with label bashir badr. Show all posts
Showing posts with label bashir badr. Show all posts

Wednesday, 9 April 2014

ZINDAGI KI HAWA NA HO

Kabhi yoon mile koi maslhat
Koi khauf dil mein jara na ho
Mujhe apni koi khabar na ho
Tujhe apna koi pata na ho
Kabhi dhoop de kabhi badliyan
Dilo jaan se dono kabool hai
Magar us mahal mein na kaid kar
Jahan zindagi ki hawa na ho
Woh hajar baagon ka baag ho
Teri barkaton ki bahar ho
Jahan koi shakh hari na ho
Jahan koi phool khilta na ho…
- Basir Badr

Yaad kisi ke chandani ban kar kothe kothe utari hai – Bashir Badr

Yaad kisi ke chandani ban kar kothe kothe utari hai
yaad kisi ke dhup hui hai zina zina utari hai
raat ke rani sahan-e-chaman mein gesu khole soti hai
rat-berat udhar mat jana ik nagin bhi rahati hai
tum ko kya tum gazalen kah kar apni aag bujha loge
us ke jee se pucho jo pathar ke tarah chup rahati hai
pathar lekar galiyon galiyon ladake pucha karte hain
har basti mein mujh se aage shoharat meri pahunchati hai
muddat se ik ladaki ke rukhsar ke dhup nahi aayi
isi liye mere kamare mein itni thandak rahati hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bashir Badr

YEH TERA PAAS AANA,

Har Bejuban Gull Mein Mahkane Lage Hain Hum,
Pise Gaye Toh Aur Mahkane Lage Hain Hum,
Garibi Bura Nasha Hai Isi Ka Asar Na Ho,
Ab Baat Baat Par Jo Bahkane Lage Hain Hum,
Mitti Ki Baas Apne Sarir Ki Badan Ki Bandi Thi,
Yeh Tera Paas Aana Hai Ki Mahkane Lage Hain Hum

-bashir badr

DARD KA CHAND AANSUON KE TAARE

Jakhm Yun Muskura Kar Khilate Hain,
Jaise Woh Dil Ko Chhu Kar Gujre Hain,
Dard Ka Chand Aansuon Ke Taare,
Dil Ke Aangan Mein Aaj Utre Hain,
Rakh Ke Dher Jaise Sard Makaan,
Chand Un Badliyon Mein Rahte Hain,
Aaino Ka Koi Kasur Nahi,
Unmein Apne Hi Photo Hote Hain,
Gour Se Dekh Khak Tanha Nahi,
Sath Phoolon Ke Rang Udhte Hain,
Unse Raat Ki Khabar Suno Sahab,
Badr Ji Raat Raat Ghume Hain…
- Basir Badr

Saturday, 30 November 2013

आँखों में रहा दिल में उतर कर नहीं देखा / Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin dekha

आँखों में रहा दिल में उतर कर नहीं देखा
किश्ती के मुसाफ़िर ने समन्दर नहीं देखा
बेवक़्त अगर जाऊँगा सब चौंक पड़ेंगे
इक उम्र हुई दिन में कभी घर नहीं देखा
जिस दिन से चला हूँ मिरी मंज़िल पे नज़र है
आँखों ने कभी मील का पत्थर नहीं देखा
ये फूल मुझे कोई विरासत में मिले हैं
तुमने मिरा काँटों भरा बिस्तर नहीं देखा
पत्थर मुझे कहता है मिरा चाहने वाला
मैं मोम हूँ उसने मुझे छूकर नहीं देखा
क़ातिल के तरफ़दार का कहना है कि उसने
मक़तूल की गर्दन पे कभी सर नहीं देखा

-

 बशीर बद्र

Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin dekha
Kishti ke musafir ne samandar nahin dekha

Bewaqt agar jaunga sab chonk padenge
Ik umr hui din mein kabhi ghar nahin dekha

jis din se chala hun miri manzil pe nazar hai
Aankon ne kabhi meel ka patthar nahin dekha

Ye phool mujhe koi wirasat mein mile hein
Tumne mira kanton bhara bistar nahin dekha

Patthar mujhe kahta hai mira chahne wala
Main mom hun usne mujhe chhookar nahin dekha

katil k tarafdar ka kehna haiki usne
maqtool ki gardan pe kabhi sar nahi dekha 
-
bashir badr

न जी भर के देखा न कुछ बात की / Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki

न जी भर के देखा न कुछ बात की
बड़ी आरज़ू थी मुलाक़ात की

कई साल से कुछ ख़बर ही नहीं
कहाँ दिन गुज़ारा कहाँ रात की

उजालों की परियाँ नहाने लगीं
नदी गुनगुनाई ख़यालात की

मैं चुप था तो चलती हवा रुक गई
ज़ुबाँ सब समझते हैं जज़्बात की

सितारों को शायद ख़बर ही नहीं
मुसाफ़िर ने जाने कहाँ रात की

मुक़द्दर मेरे चश्म-ए-पुर'अब का
बरसती हुई रात बरसात की

-

बशीर बद्र

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki
bari arzoo thi mulaqat ki

kai saal se kuch khabar nahi 
kahan din guzra kahan raat ki

ujaalon ki pariyan nahanay lagi
naddi gungunai khayalat ki

mein chup tha to chalti hawa ruk gai
zaba'n sab samajhte hai'n jazbat ki

sitaron ko shayad khabar hi nai
Musafir ne janay kaha raat ki

muqadar meri chash'm pur aa'b ka
barasti hoi raat barsaat ki
-
bashir badr