Saturday, 30 November 2013

आँखों में रहा दिल में उतर कर नहीं देखा / Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin dekha

आँखों में रहा दिल में उतर कर नहीं देखा
किश्ती के मुसाफ़िर ने समन्दर नहीं देखा
बेवक़्त अगर जाऊँगा सब चौंक पड़ेंगे
इक उम्र हुई दिन में कभी घर नहीं देखा
जिस दिन से चला हूँ मिरी मंज़िल पे नज़र है
आँखों ने कभी मील का पत्थर नहीं देखा
ये फूल मुझे कोई विरासत में मिले हैं
तुमने मिरा काँटों भरा बिस्तर नहीं देखा
पत्थर मुझे कहता है मिरा चाहने वाला
मैं मोम हूँ उसने मुझे छूकर नहीं देखा
क़ातिल के तरफ़दार का कहना है कि उसने
मक़तूल की गर्दन पे कभी सर नहीं देखा

-

 बशीर बद्र

Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin dekha
Kishti ke musafir ne samandar nahin dekha

Bewaqt agar jaunga sab chonk padenge
Ik umr hui din mein kabhi ghar nahin dekha

jis din se chala hun miri manzil pe nazar hai
Aankon ne kabhi meel ka patthar nahin dekha

Ye phool mujhe koi wirasat mein mile hein
Tumne mira kanton bhara bistar nahin dekha

Patthar mujhe kahta hai mira chahne wala
Main mom hun usne mujhe chhookar nahin dekha

katil k tarafdar ka kehna haiki usne
maqtool ki gardan pe kabhi sar nahi dekha 
-
bashir badr

No comments:

Post a Comment